Gehun (गेहूं) ki kheti kaise hoti hai?

Gehun(गेहूं)ki kheti kaise Hoti Hai?

Gehun ki kheti Kaise hoti hai-Puri jankari: 

Gehun (wheat) India ki sabse important faslon mein se ek hai, ise Rabi  ki fasal ke roop Mein ugaya jata hai, yani ki ise thand Ke Mausam Mein lagaya jata hai, aur thand khatm hote hi garmiyon ki shuruaat mein isko kata jata hai. 

Gehun ki kheti nimant tarike Se Hoti Hai:-

1. Gehun🌾 ki kheti ke liye jalvayu aur mitti ki avashyakta-

1. Jalvayu:-thandi aur sukhi jalvayu chahie 15 degree Celsius se 25 degree Celsius tapman hona chahie. 

2.mitti:-Kali mitti sabse acchi rahti hai, Khandan bola jata hai use, aur pH Man 6 se 7.5 ke bich hona chahie. 


2.Khet Ki taiyari: 


•sabse pahle Khet ki दो-तीन bar acche se jutaai kar le. 

•aakhir jutaai ke samay Khet Mein pata chalakar ya FIR jutaai ke bad Khet Mein rotawaiter Chala kar mitti ko samtal kar le. 

•aur Khet Mein thodi Si nami honi chahie jiski vajah se bij ankurit ho sake. 


3. Bij ka chayan aur buvai:-

•acchi quality ke bich Leve.
Jaise ki lokvan, sijenta, WH-1105 aadi. 

•pratyek hectare mein 1 quintal se 1 quintal 25 kilo Tak bich lagate Hain.

•gehun ki buvai ka Sahi samay October ke ending saptah se November Tak hota hai.

4. Sinchai(सिंचाई):-

•pahli sinchai gehun ke  दो-चार Dinon ke andar honi chahie.

•dusri sinchai gehun jameen se bahar nikalte Hain use time honi chahie.

•Teesri sinchai gehun ke Baliya nikalte time honi chahie. 

•Jyoti sinchai gehun Mein umiya Mein Dane bante time honi chahie jiski vajah Se gehun Ke bij acchi tarah Se Pak sake. 

•aur iske alava mitti ke hisab se sinchai kam jyada hoti rahti hai but gehun ki jyada sinchai na Karen nahin to usmein Rog a sakta hai. 

5. Khad aur urvarak bij-

•gehun ki buvai karne se pahle usmein jaivik khad,gobar ka khad Dala jata hai.

•gehun ki fasal mein sinchai ke dauran uriya nitrogen ek kuntal se ek kuntal 20 kilo prati hectare दो-तीन bar Dena Hi chahie.
 

6. Gehun Mein Rog aur kit niyantran karna:-

•gehun mein Rog Se bachne Ke liye bijon ka upchar Karna chahie. 

•gehun mein agar geruaa Rog a jata Hai To propionazole dava ka chhidkav Karen.

•aur iske alava yadi gehun Mein pilapan a jata Hai To gehun Mein usse bachne ke liye usse related davaiyon ka chhidkav Karen. 

7. Gehun ki katai aur storage:-

•jab gehun ki Baliya pili ho jaaye aur unke Hath lagate Hi vah tutane lag jaaye aur gehun ka bij kathor Ho jaaye to gehun ki harvesting yani katai karva Deni chahie. 

•gehun ki katai ke liye aap normali hathon se labour ka use kar sakte ho ya FIR harvester ka use bhi kar sakte ho. 

•katai ke bad gehun ko sukhne ke liye Rakh deve 


8. Gehun ki selling :-


•Gehun ek aisi chij Hai jiski jarurat har Insan Ko padati Hai. 
•To iske liye aap gehun ko krishi upaj Mandi Mein sel kar sakte ho.
•ya FIR gehun ko panjiyan mein bhi bhar ke sakte ho.


•upaj (production):


•agar Sahi tarike Se upaj prapt Hoti Hai To ek bigha mein 30 35 quintal tak gehun ki prapti ho sakti hai.

Post a Comment

0 Comments