Farming kaise hoti hai ?
Farming ka Hindi mein Arth hota hai खेती, jo ki ek process hai, jismein Kisan jameen ke andar anaaj, phool-fal , sabji, aur iske alava bahut sare upjae jaane wale fasal Ko ugate Hain.
Aur iske alava bhi bhai pharming ko karne ke liye bahut sare rules aur prakriyaen hoti hai jinko bhai aapko follow karna padta hai, niche paragraph Mein iske rules aur iske bare Mein kuchh baten samjhai gai hai.
1. Jameen ko taiyar karna (land preparation)-
1. Jutai-Tractor, HAL ya FIR Kisi Anya chij se khet ko acchi tarah Se khodkar uski jutaai karna.
2. Khet ko ek jaisa krna -Khet ki jutaai karne ke bad rotawaiter ki help se khet ko ek jaisa karna jiski vajah se Pani acche se इधर-उधर Ja sake.
3. Khet Mein acchi tarike se jaivik aur rasayanik khadon Ko mitti Mein Milana jiski vajah se fasal ki paidavar acchi Ho.
2. Bij ko dhundhkar uski buaai karna(Finding the seed and sowing it)-
1. Fasal ki buvai karne se pahle Kisan ek acche bich ki Khoj karta hai ,aur FIR use Apne Khet Mein bota Hai.
2. Bij ki Khet Mein buvai karne ke liye Kisan aadhunik tarikon ya FIR seeddrill machinon ka use karta hai.
3. Bahut sari faslen aise hoti hai, jinki buaai karne se pahle unko nursery mein taiyar kiya jata hai
3. Sinchai (Irrigation )-
1. Paudhe ki buvai karne ke bad uska Vikas karne ke liye usko Pani ki jarurat hoti hai.
2. Paudhon Ko Pani pilane ke liye tubewell, कुआं , pipeline,talab ka use Kiya jata hai.
3. अलग-अलग fasal ke liye अलग-अलग Pani ki jarurat hoti hai.
4. Nindaai (weeding)-
1. Jab Khet Mein fasal ki buvai ki jaati Hai To fasal ke साथ-साथ ghas phus bhi bade hote jaate Hai.
2. Aur unhen fasal mein se hatana padta hai taki fasal ki paidavar acchi Ho.
3. To iske liye desi tarike se hathon se nindaai ki jaati Hai, ya FIR iske alava bhi rasayanik tarike se kharpatwar nashak dawai ko fasal Mein spry Kiya jata hai.
5.Rog-prabandhan(Disease Management & Disease Elimination)-
1. Aksar faslon Mein kide ,makode machhar, irli aur iske alava anek Rog a jaate Hain.
2. Ine sabhi se fasal ko bachane ke liye fungi site saiya use Rog se related davaiyon ka spry Kiya jata hai .
3. Aur jaivik faslon mein jaivik tarike se ayurvedic davaiyon ka use Kiya jata hai.
6. Katai ( Harvesting)-
1. Jab fasal Pak jaati Hai to uski katai ki jaati Hai.
2. Fasal ki katai karne ke liye hathon se dantre, ya FIR harvester ka use Kiya jata hai.
3. Fasal ki katai ke bad use thresar machine se nikala jata hai aur FIR dhup Mein sukhaya jata hai
7. Mandi mein bechna ( Sale in the market)-
1. Sukh jaane ke bad anaaj ,phool, sabjiyon aadi ko Kisan Mandi,market Mein sel karte Hain.
2. Bahut sare Kisan inko director factoriyon vagaira mein bhi sel karte Hain.
Upsanhar (Conclusion)-
To yahi steps hote hi jinke madhyam se kheti hoti hai
अलग-अलग kheti Mein अलग-अलग steps ko follow Kiya jata hai.


0 Comments