Afeem(opium) Ki kheti Kaise Hoti Hai?
![]() |
Afeem(opium) Ki kheti kaise Hoti Hai? |
afeem(opium) ek khas prakar Ki fasal Hai.
Afeem jise papaver somniferum kaha jata hai, iska upyog dabav Mein Jaise
morphin kodin Kiya jata hai, Lekin iska durupyog Nashe ke roop mein bhi hota
Hai, is vajah se iski kheti Bharat Sarkar ki anumati aur licence ke sath hoti
hai.
•kanuni pahlu:-
Bharat mein afeem ki kheti Keval government se licence lene ke bad ki jaati
Hai, Bina licence ke afeem ki kheti karna kanuni apradh Hai jiski vajah se
aapko Jail ki Saja bhi ho sakti hai. Bharat mein iski kheti mukhyatah Madhya
Pradesh (Mandsaur, Neemuch), Rajasthan (Kota, Chittorgarh), aur Uttar Pradesh
(Bareilly, Barabanki)Mein ki jaati Hai.
•afeem ki kheti ki process:-
1. Jalvayu aur mitti:-
•jalvayu thandi 15 degree Celsius se 25 degree Celsius Tak theek rahti
hai.
•mitti domat ya halki chikni mitti jismein Pani Ki nikaasi acchi tarike se ho
sake.
2. Afeem bhai ka samay:-
•October se November ke bich buvai ki Ja sakti hai.
3. Bij ki Matra aur uski vidhi:-
1. Bich ki matra ek bigha mein 4 kilogram.
2, buvai vidhi:-pahli vidhi kataron Mein 25 sentimeter ki duri per paudha
lagaye aur dusri vidhi Khet Mein bich ka chhidkav Kar deve.
4. Sinchai aur nigrani:-
•bij ko Khet Mein dalte hi pahli sinchai karni padati hai.
•dusri sinchai 7 Dinon ke bad karni padati hai.
•aur lagbhag 7 se 8 bar afeem ko time se time Pani pilana padta hai.
5. Nindaai:-
•afeem ki lagbhag ek se Do bar nind aaegi jaati Hai.
•nind I karte samay kharpatwar ke sath afeem ke bimari Wale paudhe Ko Bahar
nikala jata hai.
6. Afeem nikaalne ki process:-
•jab afeem ka paudha bada ho jata hai aur usmein dode Ban jaate Hain To daude
Mein chira lagakar liquid nikala jata hai.
•aur ine chijon se jo liquid nikalta Hai vahi afeem hota Hai.
•agale Din subah dhup nikalne se pahle afeem ko ekattha kar liya jata
hai.
7. Katai aur ausat:-
•ek bigha Khet Mein lagbhag 12 se 14 kilo afeem nikalta hai.
•ek bigha Mein 2 se 3 kuntal ke bich afeem Dana (khaskhas) nikalti Hai. Jise
afeem ka bij bhi kaha jata hai.
8. Afeem ki kheti ke Labh aur hisse hone wale khatre:-
•Labh:- afeem ek nagadi fasal Hai jismein achcha khasa profit ho jata hai
•jokhim:-afeem ki kheti karte samay sarkari niyamon ka ullanghan karne per
Bhari jurmana aur ISI ke sath mein jail bhi ho sakti hai aur afeem ka licence
bhi chhin liya jata hai.
•kathinai;-afeem ki kheti mein bahut mehnat dekhbhal aur sarkari nirikshan ki
bahut hi avashyakta hoti hai.
•afeem ka licence Kaise milta Hai:-
•agar is sal aapane utpadan achcha diya hai aur jitna government Ne Manga hi
utna Diya to agale sal aapko afeem ka licence fir se milega
•filhal Mein To afeem ke naye licence nahin Mil Rahe Hain jiske pass bhi afeem
ke licence se vah sare licence purane Hain aur agar Kisi Ko naye licence Se
Mil bhi rahe hain to vah purane government ke dwara radd kiye Gaye afeem ke
licence se jo ki government fir se de rahi hai.



0 Comments