Mungfali ki kheti kaise karen?

 Mungfali ki kheti kaise karen? 

Mungfali ki kheti kaise karen?

Mungfali ki kheti kaise karen?



Mungfali jise bhuimung bhi kaha jata hai.
Yah ek mahatvpurn tilhani fasal hai. 
Yah ek khadya Tel aur khadya samagri donon Roop mein lokpriya hai, 
Iski kheti Bharat ke Gujarat Tamilnadu Maharashtra Rajasthan karnatak aur Madhya Pradesh jaise rajyon mein hoti hai. 


1.Jalvayu aur tapman-

Mungfali ki acchi paidavar ke liye garm aur sukshm jalvayu ki bahut hi avashyakta hoti hai. 

Iski kheti samundra tal se 1000 meter tak ki unchai mein aasani se ki Ja sakti hai. 

2. Bhumi ka chayan aur Bhumi ki taiyari:-


• Khet ki pahli jutaai mitti paltane wale HAL se Karen taki purane kharpatwar aasani se khatm ho sake. 

•iske bad Khet ki दो-तीन bar aur jutaai Karen. 

•jutaai ke bad Khet Mein pata lagakar Khet ko samtal kiya jaaye.

3. Bij ka chayan aur upchar Karen:-

•acchi acchi gunvatta wale साफ-सुथरे bich ka chayan Karen 
•bij ka upchar Kar leve. 

4.  buaai ka time aur process:-

•mungfali ki buvai kharif mein June se July ke bich ki jaati Hai 

•barish Ke Mausam Mein bhi iski buvai ki jaati Hai 

Buaai karne ki vidhi:-


•hathon se ya fir seeddrill machine ke dwara bhi mungfali ki buvai ki Ja sakti hai.

•paudhe Se paudhe ki duri 10 se 15 sentimeter honi chahie.

5. Khad aur urvarak:-

•mungfali ko Sahi khad aur urvarak time per Milana chahie. 



6. Sinchai prabandhan:-

•mungfali kharif Mausam Mein Varsha aadharit fasal Hoti Hai parantu is per avashyakta hone per hi sinchai ki jarurat hoti hai. 

•fasal ki buvai karne ke bad pahli sinchai ankuran ke samay hoti hai. 

•ful aane per,fali banne aur bij bharane ki avastha mein sinchai bahut hi jaruri hoti hai.

7. Niraai gudai aur kharpatwar niyantran-


•mungfali ke shuruaati 50-60 Dinon Tak Khet ko kharpatwar Se bachana bahut hi jaruri hota Hai. 

•pahli nindai 20 se 25 Dinon ke andar kar leni chahie aur dusri 40 Dinon Tak. 

•aur iske alava kharpatwar niyantran ke liye kharpatwar nirodhi davaiyon ka spry Karna chahie. 

8. Fasal ki katai aur iski upaj:-

•mungfali ki fasal ki katai 90 se 120 Dinon ke andar Ho jaati Hai, aur iske alava kism aur jalvayu per nirbhar karta hai. 

•fasal pakane ki pahchan:-


•paudhe ki pattiyan pili hone lag jaati Hai. 

•mungfali ki faliyon ki andar ki jo parat Hoti Hai uska rang Kala ya Gora Gora ho jata hai. 

Mungfali ki faliya mitti Se aasani se bahar nikalne lag jaati Hai. 


Katai ki vidKaren

•Paudhon ko jameen Se ukhad Kar faliyon ko alag Karna padta hai.

•faliyon ko todne ke bad acchi tarah dhokar chhav Mein ya dhup Mein चार-पांच din tak sukhayen. 

•mungfali ke acchi tarah Se sukhne ke bad bhandaran ke liye use taiyar Kiya Ja sakta hai. 

9. Upaj aur isase hone wala Labh:-

•mungfali ki upaj samanyatah 3-4 kuntal prati bigha Ho jaati Hai.

•mungfali se Tel nikaalne ke bad usse bacha hua cal pashuon ke liye poshak aahar ho sakta hai jisse atirikt Labh bhi prapt hota Hai. 

Nishkarsh-(Conclusion):-

•मूंगफली की खेती किसानों के लिए लाभकारी और आसान होती है 

मूंगफली की खेती में कम खर्चे में अच्छा प्रॉफिट हो जाता है। 
और यह पशुओं के लिए भी लाभदायक है।


Post a Comment

0 Comments